Education loan lene me savdhani se choose kare bank or institution
july august ke mahine me higher education ya commercial curriculum ki demand bad jati hai. har kisi ki kosis rahti hai ki sasta,without gurrenty wala loan unhe kam se kam time me mil jae,kyoki domstic ya foreign education institution me entry lene ya visa etc.lene ka ek particular time hota hai.
yah hamari jarurto par depend karta hai ki sarkari va private bank ya non banking financial companiyo me kiska selection kiya jae,taki loan application ka poora process fail na ho jae.aise me jarurto ko dekh kar bank ya financial institute choose kare.
Time hai to govt.bank pahli pasand
agr apne course ka selection kar liya hai,or entry ke liy enough time hai to govt.bank pahli choice honi chahiye.sarkari banko ka education loan sabse sasta padta hai,hallaki,iska paper work kafi lamba hota hai or apse bade guarantier ki maang bi ki ja sakti hai
Paper work private banko me kam
private banko ka loan bi sarkaribanko se thoda coslty or non banking financial company se kam hota hai, but isme ap lambe paper work se bach sakte hai, loan ki eligibility ho to private bank apke liye khud hi taiyaar rahte hai.
Immediate loan chahiye to financial company hi acha option hai
agar apko immidiate education loan ki jarurt hai or long time paper work se bachna chahte hai,or apke pas solid gurrentiar bi nahi hai,to non-banking financial companiya hi apke liy good choice hai .but isme loan banko se 2,3 percent jyada ho sakta hai,welthbing adviser ke sansthapak amit kookreja ka kahna hai ki NBFC ki process bahut fast hai.
Rule and condition
- 15 year ke liye maximum education loan bank dete hai
- 90 percent tak study expand bank dete hai
kaise mil sakta hai education loan ke intrest par income tax discount
maanyta prapt sansthan ke course ke liye loan income tax k clause10(23c)ya 80(g)2a k ander manya hota hai income tax ke clause 80 (e)ke tahat education loan par chukaye gaye interest ke liy income tax pr discount mil sakta hai jabki interest ki puri payment deduction ka claim kiya jata hai
Education loan lene me savdhani se choose kare bank or institution,yah jankari apko kaise lagi comment karke jarrur batae plz like my post , share and follow my blog thanks friends
No comments:
Post a Comment