Monday, July 9, 2018

kon sa form kis ITR ke liy hai janiye simple way me,ITR ka sahi form choose karna bi jaruri hai

kon sa form kis ITR ke liy hai janiye simple way me,

ITR ka sahi form choose karna bi jaruri hai

                        current financial year ke liy income tax return registered karne ka yah last month hai.aise me hadbadi se bachne ke sath hi apna ITR registered karne ke sath hi apko sahi form ka choose karna bi jaruri hai.
    central board of direct tax (CBDT)ne is bar form me kuch new column add kiye hai,to kuch remove bi kar diye gaye hai.Total seven type ke ITR form hai,jise income tax department ki website se download kar 31 july se pahle ITR registered kar sakte hai.

ITR -1

Aise citizen jise salary,pansion,property ke rent,ya intrest se income hoti hai,to vah ITR-1 ya easy form bharta hai.isme lottary ya race winner se mila money add hota hai.yah form 50lakh tak ki income par hi fill kiya ja sakta hai.

ITR-2

aise citizen or HUF(Hindu undivided family) jinhe agriculture , ek se jyada property,capital gain, lottery ,racing ya other sources se income hoti hai.ITR-2form fill karna jaruri hota hai.

ITR-3

business ke aise partner jinhe intrest,salary,bonus se income,capital gain,ek se jyada property se rent ki income hoti hai,means jo khud koi business karta ho ,ya kisi profession se income hoti ho use ITR-3 form fill karna jaruri hota hai.

ITR-4

Aise citizen ya HUF jinko business,profession,(doctor,advocate etc.)se income ho rahi ho ,unke liy ITR-4 ka form hai.is form ko sugam naam se jana jata hai.

ITR-5

Is form ka use aisa citizen karta hai,jo kisi firm ,limited liability partnership(LLP),AOP,BOE,Co-operative society ya panchyat raj ka registration karta hai.

ITR-6

Vo companiya jinhe income tax Act section 11 ke ander discout nahi milta hai,unhe ITR-6 fill karna hota hai,isme bi kisi bi source se hui income ko add kiya jata hai.

ITR-7

Is form ka use charitable firm ke liye hota hai,jisme kisi bi source se hui income add hoti hai. ise aisa citizen ya company bhar sakti hai,jo section 139(4A) or section 139(4b)or section 139 (4c) or 139 (4d) ke ander return registered karte hai

wrong form choose karne par fine bi pay karna padta hai

kisi ne ITR registered karne ke liy wrong form choose kar liya hai,to income tax rule ke ander bada fine pay karna padta hai isme income tax worth property ka 50 se 200 rupy tak fine lag sakta hai




I hope apko meri post pasand ayi hogi agr ai to plz like share and follow jarur kare , i think u like my post, kon sa form kis ITR ke liy hai janiye simple way me,ITR ka sahi form choose karna bi jaruri hai thanks




















No comments:

Post a Comment

daily update news shashiprateek.blogspot.com

The GSAT satellites are India's indigenously developed communications satellites